Sunday, December 3, 2017

Chalo aaj phir do baatein karte hain

Chalo aaj phir do baatein karte hain
Phir lafzon ki chayo mein apne ishq ko gumrah karte hain
Baatein un kuch panchiyo ki, jo hass rahi hai hum par
Ki dekho zara inhe
Kaise apne khayalo ke par kaat mayoos hain yeh dono
Baatein un wadiyon ki
Jo pyaar ki goonj ki intezaar mein
Behri ho chuki hain

Chalo aaj phir do baatein karte hain
Tum bolte rehna aur main tumhare chehre ki tasveer apne zehen mein utarunga
Apne in pathar jaise haathon ko kosunga
Kya bin kharoche tumhe yeh kabhi chhu payenge?
Kya kabhi is muskurahat ki neev main ban paunga?

Aisa bhi kya darr hai?
Aisa bhi kya shor hai?
Ki tumhara dil mujhe aaj sun bhi nahi pa raha?
Mere lafzon mein khud ke naam ka zikr sunoge, toh dekhoge kaise kaanp te hain yeh hoth
Kaise saansein chhoot si jaati hain aur hawa rukh badal leti hai
Kaise jhoom uthta hai mera mann aur naachti hai yeh sham
Ki in pheeke shabd ke beech yeh deewani mehek kis ke naam ki thi?

Chalo aaj phir do baatein karte hain
Shayad mere ishq ki takdeer ko kahani naseeb nahi